यह ब्लॉग खोजें
Delhi NCR Metro aur Bus Yatra ki complete jaankari ek jagah – routes, stations, fare, timings aur travel tips. New Delhi se Gurugram, Noida, Ghaziabad aur Faridabad tak ka safar ab aasaan. Rozana ke liye aap ko yahan pure delhi NCR travel se sambandhit puri aur trusted travel guide jo aapko deta hai accurate aur latest information."
प्रदर्शित
- लिंक पाएं
- X
- ईमेल
- दूसरे ऐप
IGI Airport Se Paharganj Jane wali Bus Number Kya hai
IGI Airport se Paharganj Bus Safar
is post ka jariye ham janenge ki Indira Gandhi International Airport, Delhi se seedhe Paharganj tak bus ke safar Bahut log sochte hain ki airport se paharganj tak bus kaise li jaye, kitna time lagega, kiraya kitna hoga, aur kaun si bus milegi. To aaj mai aapko step by step sab details dikhane wala hoon aap is post ko last tak jarur padhe last me aap ke liye kuch importent tips diya hua hai aap ke hit me
🚌 Step 1: IGI Airport Bus Stop
Aapko bus stop Terminal 3 ke arrival gate ke bahar milta hai.
Yahin se DTC aur Airport Express buses chalti hain.
Sabse common route jo Paharganj tak le jaata hai wo hai:
Bus Number: Airport Exp-4 (Kashmere Gate / ISBT route)
Ye bus IGI Airport se nikal kar New Delhi Railway Station ke paas tak aati hai.
Bus Type Available:
AC Low Floor Bus (Lal rang / Red) – Thoda comfortable aur kiraya ₹60-85 tak.
Non-AC Bus (Hara rang / Green) – Sasti, ₹20-30 tak.
🛑 Step 2: Beech ke Major Stops
IGI se Paharganj aate hue bus kuch important stops par rukti hai:
1. IGI Airport Terminal 3 / Terminal 2 – Starting point
2. Dhaula Kuan – Yahan se Gurgaon / South Delhi ke log bhi bus pakadte hain
3. Chanakyapuri / Shanti Path – Embassy area, foreigners yahan utarte hain
4. Moti Bagh – South Campus / residential area
5. Rajiv Chowk (Connaught Place / Regal) – Delhi ka heart, yahan se metro aur bus connections milte hain
6. New Delhi Railway Station (Gate-2, Ajmeri Gate side) – Ye sabse important stop hai jo Paharganj ke bilkul paas hai
⏱ Safar ka Samay
Agar traffic kam hai to 45-50 minute me pahunch jaoge. Peak traffic me lagbhag 1.5 ghante bhi lag sakte hain.
💰 Kiraya (Fare)
Non-AC (Green Bus) – ₹20 se ₹30, AC Bus (Red Low Floor) – ₹60 se ₹85
Ticket conductor se bus ke andar milta hai, UPI/Metro card bhi chal jata hai
Tips For Travellers
1. Agar aapke paas heavy luggage hai, to AC bus lena zyada comfortable hoga.
2. Paharganj side utarte waqt apna samaan dhyan se rakhein, kyunki yeh tourist hub hai.
3. Raat ke time buses kam hoti hain, us waqt metro ya prepaid taxi option safe rahega
🚌 IGI Airport se Paharganj tak DTC Bus Routes
1. Bus Number: 780
Route:👉 IGI Airport Terminal 2 → New Delhi Railway Station Gate 2
Duration:👉 Lagbhag 1 ghanta 8 minute
Frequency:👉Har 10 minute mein ek
Fare:👉₹11 se ₹85 tak, bus type ke anusar
Bus Type:👉 Ordinary, AC, Airport Express
Stops:👉 IGI Airport → Dhaula Kuan → Chanakyapuri → Moti Bagh → Rajiv Chowk → New Delhi Railway Station Gate 2
2. Bus Number: Airport Express-4
Route:👉 ISBT / Kashmiri Gate → IGI Airport Terminal 3
Duration:👉 Lagbhag 1 ghanta 10 minute
Frequency:👉 Har 10 minute mein ek
Fare:👉 ₹60 se ₹85 tak
Bus Type: 👉Airport Express
Stops:👉 ISBT / Kashmiri Gate → New Delhi Railway Station Gate 2 → IGI Airport Terminal 3
3. Bus Number: 929LSTL
Route:👉 Kanjhawla Depot → Mubarak Pur Dabas via IGI Airport Terminal 3
Duration:👉 Lagbhag 1 ghanta 15 minute
Frequency:👉 Har 15 minute mein ek
Fare:👉 ₹20 se ₹30 tak Bus Type: Ordinary
Stops: 👉Kanjhawla Depot → IGI Airport Terminal 3 → New Delhi Railway Station Gate 2 → Paharganj
🗺️ Paharganj Tak Pahuchne Ka Tarika
New Delhi Railway Station Gate 2 se Paharganj tak kaafi nazdeek hai. Aap wahan se walking distance par Paharganj ke market area tak pahuch sakte hain lein Agar aap koi confusion ho rahi to aap wahan ke kisi local aadami se aur bhi jankari le sakte hai ya Auto Rickshaw ya Cycle Rickshaw battery Rickshaw bhi available hote hain agar aapko walking mein dikkat ho agar aap ke pass lagage ho to aap ke liye rikshow sabse achha option hoga q ki Yahan bheed bahut jyada hoti hai to aap walking jana me pareshani ho sakti hai
Kuch Important Tips ⚠
(1), Aap ko Delhi ke kisi bhi Rout pe Safar Karna ho ap bus me Jane ke Baad Bus Staff se apne Destination ke bare me jarur jankari Le Q ki kabhi kabhi kuch bus ki rout ko kuch samay ke Lilye Change kar diya jata hai wajah kuch bhi ho sakta hai jaise Road Repair ya koi hadsa ho gya ho etc
(2) , Aap Delhi Me Kahi Bhi Safar karte hai aap apne Saman ka dhyan rakhe khas kar jb aap kahi travel kar rahe hai wo chahe bus ho ya metro, Ya Train ho aap apne phone wollet aur Bag Ityadi ka khas kar dhyan Rakhe Q ki Aisa Jagah pe Chori hone ki jyada Sambhawana hoti hai to aap alert rahe apna khayal rakhe
- लिंक पाएं
- X
- ईमेल
- दूसरे ऐप
लोकप्रिय पोस्ट
mudrika seva delhi ki ring Road par chalne wali DTC bus service
- लिंक पाएं
- X
- ईमेल
- दूसरे ऐप
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें